Hinglish Ghazal

Sachcha tha main magar mujhe jhoota likha gaya

By Anwar Kamal 25 April 2023 50,109 reads 12,460 likes
Sachcha tha main magar mujhe jhoota likha gayaUjley libaas ko mere kaala likha gayaMunsif ne mere qatl ko bhi khud kushi kahaMujh ko hi apne khoon ka pyasa likha gayaKhaak-e-watan mein dafan they ajdaad sab merePanchhi ka ghar yahee’n tha paraya likha gayaDariya ke beech mujh ko duboya gaya tha phirDariya ke paar mujh ko utaara likha gayaSooraj sitarey sham’a kya jugnu bhi chheen karTaareekiyo’n ko ghar ke ujaaley likha gayaDharti ke aye khudaao’n tujhe ye  nahi’n khabarFir’oun jab bhi likha gaya Musa likha gaya

Related Shayari

More from this category.