close
preloader

Ghazal/غزل

Simat’ti chandni hai ya saraapa hai nami danam
Nami danam mera mehboob kya kya hai nami danam

Tumhari jheel si aankhon ke tat par ye jhuki palkein
Bhanwar hai chhaa’on hai koi shikara hai nami danam

Tere chehre ke sahil par dhanak ki mauj sar patke
Na jaane kaun si rangat mein jalwa hai nami danam

Teri zulfon ke saaye mein ye badal parvarish paaye
Nami danam ye badal kab tak barasta hai nami danam

Sharaabi sheesha gar saaqi-o-butgar sab ikatthe hain
Yahan iss maiqade me kaun pyasa hai nami danam

Prastish kiski hai ye hum baroz-e-hashr dekhenge
Ye dil masjid ya butkhana kaleesa hai nami danam

Woh harjaayi main saudayi dil-o-jaan se fida gashtam
Khuda jaane Kamaal-e-wajad hai kya hai nami danam
 

Read More

Sau maujein qafas teri nigahon ke bhanwar mein
Main doob raha hoon tere jalwon me bhanwar mein

Maikash ki muradein hain kya maikhana-o-saaqi
Maikash ki muradein teri aankhon ke bhanwar mein

Kastoori ki khushboo ka bhanwar naaf se ut’the
Targheeb shab-e-wasl hai honto’n ke bhanwar mein

Chhaao’n ka bhanwar dhoop ki dahleez ko laanghe
Ik thandi tamazat teri palkon ke bhanwar mein

Aye mauj-e-junoo’n arz-e-tamanna ki na poochho
Barson ki bhari pyaas hai boondo’n ke bhanwar mein

Zanjeer-e-aseeri liye hai husn-e-sitamgar
Zindaan-e-zulekha teri zulfon ke bhanwar mein

 

Read More

Sau maujein qafas teri nigahon ke bhanwar mein
Main doob raha hoon tere jalwon me bhanwar mein

Maikash ki muradein hain kya maikhana-o-saaqi
Maikash ki muradein teri aankhon ke bhanwar mein

Kastoori ki khushboo ka bhanwar naaf se ut’the
Targheeb shab-e-wasl hai honto’n ke bhanwar mein

Chhaao’n ka bhanwar dhoop ki dahleez ko laanghe
Ik thandi tamazat teri palkon ke bhanwar mein

Aye mauj-e-junoo’n arz-e-tamanna ki na poochho
Barson ki bhari pyaas hai boondo’n ke bhanwar mein

Zanjeer-e-aseeri liye hai husn-e-sitamgar
Zindaan-e-zulekha teri zulfon ke bhanwar mein

 

Read More

Sau maujein qafas teri nigahon ke bhanwar mein
Main doob raha hoon tere jalwon me bhanwar mein

Maikash ki muradein hain kya maikhana-o-saaqi
Maikash ki muradein teri aankhon ke bhanwar mein

Kastoori ki khushboo ka bhanwar naaf se ut’the
Targheeb shab-e-wasl hai honto’n ke bhanwar mein

Chhaao’n ka bhanwar dhoop ki dahleez ko laanghe
Ik thandi tamazat teri palkon ke bhanwar mein

Aye mauj-e-junoo’n arz-e-tamanna ki na poochho
Barson ki bhari pyaas hai boondo’n ke bhanwar mein

Zanjeer-e-aseeri liye hai husn-e-sitamgar
Zindaan-e-zulekha teri zulfon ke bhanwar mein

 

Read More

Sau maujein qafas teri nigahon ke bhanwar mein
Main doob raha hoon tere jalwon me bhanwar mein

Maikash ki muradein hain kya maikhana-o-saaqi
Maikash ki muradein teri aankhon ke bhanwar mein

Kastoori ki khushboo ka bhanwar naaf se ut’the
Targheeb shab-e-wasl hai honto’n ke bhanwar mein

Chhaao’n ka bhanwar dhoop ki dahleez ko laanghe
Ik thandi tamazat teri palkon ke bhanwar mein

Aye mauj-e-junoo’n arz-e-tamanna ki na poochho
Barson ki bhari pyaas hai boondo’n ke bhanwar mein

Zanjeer-e-aseeri liye hai husn-e-sitamgar
Zindaan-e-zulekha teri zulfon ke bhanwar mein

 

Read More Share

Ye chandni ye chaman zaaron ki agan aur main
Ye rang-o-bu ye tere lams ki chubhan aur main

Ghazaal aankhon se dil par chhuri barasti hui
Shikast khata hua rann me ek hiran aur main

Thakan utaarti ye saanvle badan ki hadein
Gudaaz jism ki ye makhmali shikan aur main

Thirakti nartaki ye raushni ye rang mahal
Uthaan saaz ki saazando’n ki thakan aur main

Peher ye shab ki ye pehra tumhari zulfon ka 
Ghata ghumadti hui bheegta gagan aur main

Main dhool dhool bikharta hua banaam-e-yaar
Woh phool phool sa khilta hua badan aur main

Read More Share

Shab ke rukhsaaro’n pe shabnam ke sharaare utrey
Tab kahin jaake mere khwab kinaare utrey

Mauj ka khauf tha aisa ke lab-e-sahil bhi 
Pehle utra tha main peechhe mere saare utrey

Lafz honton ke qafas mein bhale dum tod gaye
Aankhon se aankhon mein lafzon ke ishaare utrey

Abr ne kar hi diya dhoop ko pagal pagal
Din ki dahleez pe chhaao’n ke shikaare utrey

Hijr ki rait bhi sairaab hui ashkon se
Wasl ki jheel mein bhi chaand sitare utrey

Read More Share

Syaah raat mein taare nahi seher dhundo
Udaan bharni hai to khud mein baal-o-par dhundo

 

Jawaa’n dhoop ke nezo’n se haar jaoge
Na dhundo abr ke tukde bade shajar dhundo

 

Thakan utarti kahan hai yahan ke logon ki
Idhar saraaye na dhundo kahin udhar dhundo

 

Ye baar baar naye ghonsle banayein kyun
Jahaan purana basera tha phir wo ghar dhundo

 

Woh tera gham liye hijrat bhi kar gaya kab ka 
Ab us ki gard ko aankhon se umr bhar dekho

Read More Share

Uljhi hui rassi ka sira dhoond raha hai
Kya jaane woh apni hi khata dhoond raha hai

Shaakho’n se gire patton ki taqdeer thi achchhi
Ik bhookha hiran patta hara dhoond raha hai

Ik tu hai ke nikla bhi nahi ghar se abhi tak
Ik woh hai tujhe chaaro’n disha dhoond raha hai

 

Tum jis ke bharose pe yahan aaye ho ladne
Talvar se pehle woh zirah dhoond raha hai

Iss shab ke muqaddar mein tu rahne de syahi
Jugnu kyun ujaalon ki qaba dhoond raha hai

Badal ke badalte hue tevar se ye darpok
Saaya mera ab ped ghana dhoond raha hai

 Jab dil ke andar hi na ho ehsaas-e-khudaai
Naadaa’n hai jo patthar me khuda dhoond raha hai

Phoolo’n se ulajhne ke liye kab se ye kaanta
Patjhad ki koyi mauj-e-hawa dhoond raha hai

Read More Share

Main udaa raha hoon jaana’n teri yaado’n ke parindey
Tujhe haal-e-dil sunayenge sadaao’n ke parindey

Meri saf ke sabz patte kahin kar na dein baghawat
Kahin ud na jayein saare meri shaakho’n ke parindey

Mera jism muztarib hai wahi lams dhoondta hai
Kahin pyaase mar na jayein mere hontho’n ke parindey

Tere hijr ke katore mein sharaab-e-wasl bhar doon
Toh khushi mein ud na jayein tere haatho’n ke parindey

Mere patjhado’n ke panchhi meri pyaasi faakhtayei’n
Teri raah tak rahe hain meri aankhon ke parindey

Tere meethe paaniyo’n ki wahi jheel phir se dhundoo’n
Tere husn ke bhanwar ke woh adaao’n ke parindey

Kahin shaakh phir na toote kahin phool phir na bikhrey
Na bula le phir se aandhi ko hawaao’n ke parindey

Read More Share

Shab-e-visaal ki betaabiyaa’n sitam dhaayein
Sitamgaraa’n teri rangeeniyaa’n sitam dhaayein

Tumhare hontho’n ka panghat sharaab se labraiz
Labo’n ke jaam ki gehraaiyaa’n sitam dhaayein

Gulo’n ki sej hai jaanaa’n tere badan ki saraaye
Tumhaarey qurb ki madhoshiyaa’n sitam dhaayein

Tumhaarey baalo’n mein saavan ki chhaao’n basti hai
Tumhaarey palko’n ki parchhaiya’n sitam dhaayein

Tumhaarey naaf ki kastoori kar na dein madhosh
Tumhaarey asar ki parwaaiya’n sitam dhaayein

Safeena saanso’n ka sandal ke paaniyo’n pe chaley
Machalti dhadkano’n ki thumriyaa’n sitam dhaayein

Badaltey jalwe hain jaise ho qaafiya bandi
Radeef-e-husn athkeliyaa’n sitam dhaayein

Nigaah-e-yaar mein har dum khumaar palta hai
Aur uss ke baad ki angdaaiyaa’n sitam dhaayein

Mere wajood se lipta hua wajood tera
Aur uss ke baad ki pabandiyaa’n sitam dhaayein

Read More Share

Qabl mar jaane se jeene ka hunar aa hi gaya
Girte padte bhi smbhalne ka hunar aa hi gaya

Kab talak dhoondta kashti ke nigehbaano’n ko
Tair kar paar utarne ka hunar aa hi gaya

Saath sooraj ke chala tha main safar mein lekin
Zulmat-e-shab se guzarne ka hunar aa hi gaya

Par nikalte hi paraaya hua apno’n se main jab
Iss parindey ko bhi udney ka hunar aa hi gaya


Talkh rishto’n ko badalta raha meethe pan se
Neem ke phal ko nigalney ka hunar aa hi gaya
 

Maine khemo’n ki tanabo’n ko khula chhod diya
Aandhiyo’n mein bhi thaharne ka hunar aa hi gaya
 

Maine sehraao’n se maanga nahi paani ka suraab
Mujhko bhi pyaas mein jalne ka hunar aa hi gaya

Ye zaroori tha ke bahar se main dekha jaaoo’n
Apne andar se nikalne ka hunar aa hi gaya

Read More Share

Be-parda be-hijaab saraapa kamaal ka
Kis ne tumhara husn tarasha kamaal ka

Palko’n ki paalki teri neendein meri jagaaye
Ye saanvli saraaye ye dera kamaal ka

Dil ki patang kaat gayein sarphiri latein
Jaanaa’n tumharey baalo’n ka maanjha kamaal ka

Iss chandni ki jheel mein aye doodhiya sadaf
Moti lutaa’te husn ka jalwa kamaal ka

Mitti mein mil na jaye qalandar ka ratjaga
Tujh marmarein khayal ka nashsha kamaal ka

Read More Share

Dam badam aankhon se apni mai pilaye dam badam
Dam badam mera sanam pehlu mein aaye dam badam

Yeh nazaakat nargisi yeh nit-naye nakhre tere
Dam badam woh rooth jaye maan jaye dam badam

Shaakho’n pe baithi kali jaisi teri dosheezgi
Dam badam shabnam nahaaye muskuraye dam badam

Dil pe dastak de gayien dast-e-hena se dilbaraa’n
Dam badam nazdeek aaye door jaye dam badam

Tu nadi, taalaab, dariya, dasht-o-sehra ki ummeed
Dam badam zulfein teri saavan lutaye dam badam

Read More Share

Thi bhool buzdilo’n ko bhi zindo’n me gin liya
Lashkar yazeediyo’n ka tha apno’n mein gin liya

Moti banane wala main samjha tha koozagar
Thee’n kaudiyaa’n sadaf ke qabeelo’n mein gin liya

Qatro’n ke inqalaab se dariya na ban saka
Shabnam ghazeedah boondo’n ko maujo’n mein gin liya

Le ke qafas ko ud na sakey ye raha sabab
Dhokey mein titliyo’n ko parindo’n mein gin liya

Read More Share

Naya rayees hai apna maqaam kya jaane
Waqaar taaj ka adnaa ghulaam kya jaane

Yeh raat phir naye sooraj se haar jaayegi
Main ek jugnu hoon ye dhalti shaam kya jaane

Bagair imaam ki iss bheed ki khataayein na gin
Kahaan ye jhukna hai kab hai qayaam kya jaane

Yeh rahzano’n ka qabeela hai jugnu na samajh
Ladaayi ba’ad mein pehle salaam kya jaane

Naye sharaabi mein aadaab-e-maikadah na talaash
Yeh kis ke vaaste aaya hai jaam kya jaane

Read More Share

Aye chaak meri mujhko mukammal bana ke dekh
Iss ped ko hara bhara jungle bana ke dekh

Tujh se lipat bhi jaaoo’n teri aasteen ka saanp
Bu-e-badan ko khushboo-e-sandal bana ke dekh

Iss dheemi chaal se kahaan tay hoga pul siraat
Bhedo’n ke iss qabeele ko cheetal bana ke dekh

Baadal banate rehne ka dariya ko hai hunar
Saavan meri zameen ko jalthal bana ke dekh

Iss dhoop ke safar mein bhi, neendo’n ki paalki
Mumkin hai, apne saaye ko baadal bana ke dekh

Read More Share

Meri aarzoo ka charaagh ab na jalega tere dayaar mein
Meri dhadkane teri qaid mein meri sansein tere hesaar mein

Jo nihaa’n qaza mein qaraar ho to kyun aarzoo-e-qarar ho
Aye tadap talab meri tishnagi tujhe kya milega qaraar mein

Kayi karwa’n jo chale gaye mujhe do khabar wo gaye kahan
Ke junoo-e-shauq-e-safar liye kayi karwa’n hain qataar mein

Na baras ghatayein simat bhi jaa mere chaand poore se ghat bhi jaa
Main khizaa’n raseedah bahaar hoon tujhe kya milega bahaar mein

Meri jaa’n kani ke aye marhale zara intezar-e-sanam to kar
Meri jaa’n tu sadqa-e-yaar hai to nikal bhi kocha-e-yaar mein

Read More Share

Rasm hai ye pyaar ki jalna pighalna haye hoo
Haye hoo tera mera milna bichhadna haye hoo

Bebasi aankho’n mein le kar apne toote pankh se
Panchhi ka udna gagan mein neeche girna haye hoo

Do ghadi aaram kar le do ghadi ki chhao’n ye
Phir wahi chalna tera girna sambhalna haye hoo

Oonche neeche jism ke raste ki rangeeni na poochh
Dam bhatakna dam badam mera bhatakna haye hoo

Chaand taare rang khushboo sab tere joban ki dhool
Iss qadar tera jhijhakna phir chhalakna haye hoo

Husn ki fitrat mein dhoka hum wahi pagal chakor
Dil ko chhalna yaar ka har pal badalna haye hoo

Hijr mein barfeeli raatein din hai angaarah liye
Karvatein har dam badalna dam nikalna haye hoo

Read More Share

Rait ko phaankte vahshat mein guzar jaane de
Pyaas ghaflat mein hai ghaflat mein guzar jaane de

Saaye mein khudkushi kar le na meri parchhayi’n
Zindagi dhoop ki sangat mein guzar jaane de

Dil parinda hai nasheman mein kahan tikta hai
Aise harjaayi ki hijrat mein guzar jaane de

Haalat-e-jaa’n  kani mein aaj to iss maikash ko
Haalet-e-sajdah-e-midhat mein guzar jaane de

Zakhm-e-dil furqat-e-ayyaam ki teesein na utha
Dard ko shiddat-e-lazzat mein guzar jaane de

Read More Share

Hai dasht-e-dil mein meri zaat koobakoo phir se
Dil-o-jigar meri aankhein lahoo lahoo phir se

Har ek aaina un ka hi tarjumaa’n nikla
Shabeeh-e-yaar in ankhon ke roobaroo phir se

Thahar gaya tha maqaam-e-saraab me aa kar
Hai ku-e-yaar mein jaane ki justuju phir se

Tu dard hai ke dawa faisla ye tera hai
Ke chaak dil rahe ya zakhm ho rafoo phir se

Kahaan se aati hai aawaz mere kaano’n mein
Main khud se karne laga aaj guftugu phir se

Main tere bazm ko chhod aaya tha aye jaan e Kamaal
Tawaaf-e-ku-e-sanam ki hai aarzoo phir se

Read More Share

Chhod aaram thakan de de bahel jaunga
Zinda rehne ki ghutan de de bahel jaunga

Chaand ki shab mein tera hijr qayamat hoga
Dhoop ki saari jalan de de bahel jaunga

In zameeno’n ki udaano’n mein ghane saaye hain
Chhaao’n se door gagan de de bahel jaunga

Meethi neendo’n ke qafas mein teri yaado’n ka azaab
Zakhm se choor badan de de bahel jaunga

Margzaaro’n mein koyi khwab-e-pareshaa’n hi nahi
Mere banbaas ko ban de de bahel jaunga

Meri mitti ko na raas aayega phoolo’n ka libaas
Khaarzaro’n ki chubhan de de bahel jaunga

Mere mausam ka bahaaro’n se nahi milta mizaj
Mujhko barbaad chaman de de bahel jaunga

Read More Share

Woh qatrah ab bhi samajhta hai aab’shaar mein hai
Jo aab’shaar se gir kar nadi ki dhaar mein hai

Ye tera sheher teri cheenkh sun na paayega
Ke baazgasht-e-sada dasht ki pukaar mein hai

Bajaao saaz mohabbat ka amn ki khatir
Khalish na daf mein na veena mein na guitar mein hai

Ramooz-e-ishq se waqif nahi hai dil tera
Phansi nigaah tere jism ke ubhaar mein hai

Woh apne zulm pe naaza’n mujhe khuda pe yaqee’n
Khuda ke paas mera mudd’aa qataar mein hai

Read More Share

Ab ke aise alam se guzre hum
Apne haatho’n sitam se guzre hum

Un ke yaado’n ki titliyaa’n chhu kar
Rehguzaar-e-sanam se guzre hum

Lehar dar lehar hum guzarte huwe
Mauj dar mauj gham se guzre hum

Woh nasheb-o-faraaz woh tere
Jism ke peych-o-kham se guzre hum

Phool bichhne lage they raaho’n mein
Jab chaman ke haram se guzre hum

Sarhadein gham ki pad gayein chhoti
Jab samandar ke gham se guzre hum

Read More Share

Jo shaakh-e-gul ik chamakte khanjar ke saamne hai
Ye fan hai qatrah bhi ab samandar ke saamne hai

Jo takht-e-shaahi ko chhod aaya  tha ik malanga
Woh takht-e-shaahi phir uss qalandar ke saamne hai

Ye ratjaga ye hazaaro’n sajde aye banda parwar
Parinda pyaasa chhalakti gaagar ke saamne hai

Luta ke sab kuchh usi ki dhun mein usi ka banda
Qataar baandhe khuda-e-bartar ke saamne hai

Read More Share

Apno’n ko aazmaane ka qissa na hum se poochh
Dushman se haar jaane ka qissa na hum se poochh

Mitti ki thi pukaar hum hijrat na kar sakey
Iss qarz ko chukaane ka qissa na hum se poochh

Tha aab’shaar apna wahin pattharo’n mein qaid
Patthar se sar ladaane ka qissa na hum se pooch

Apni nahin thi bhool suraabo’n ka khel tha
Sehra mein tair jaane ka qissa na hum se poochh

Khana badosh ban ke phire hum yahan wahan
Apna hi ghar giraane ka qissa na hum se poochh

Zarro’n ko jab hawaao’n ne de di bulandiyaa’n
Apni bhi khaak udaane ka qissa na hum se poochh

Kyun darr gaye they kaise ye talvaar gir gayi
Haatho’n ke thartharaane ka qissa na hum se poochh

Read More Share

Uss gulaabi shaam ke saaye kahin gum ho gaye
Jab bichhad ke hans ke jodey kahin gum ho gaye

Nafrato’n ka maanjha tha saari patangein kat gayein
Pyaar ke mazboot woh dhaage kahin gum ho gaye

Dhoop ki zanjeer pehne ho gaye kuchh kaamyab
Jo bachey they chhaao’n ko pehne kahin gum ho gaye

Yaado’n mein rah jaayenge toote sitaare umr bhar
Jo sitaarey mitti ke neeche kahin ghum ho gaye

Doob jaaye’n jo nadi ki dhaar mein woh pyaar gum
Heer bhi gum ho gayi raanjhe kahin gugum ho gaye

Read More Share

Kitni mushkil se bahot der manaane ke ba’ad
Chaand nikla hai kayi jugnoo dikhaane ke ba’ad

Tu samajhta hai gulaabo’n se mehekta hai khat ?
Khushboo milti nahi alfaaz mitaane ke ba’ad

Champayi dhoop tere vasl ki khatir kab se
Kaliyaa’n betaab hain shabnam se nahaane ke ba’ad

Kab talak kaun kisey yaad kiye phirta hai
Mit hi jaati hain sabhi yaadein zamaane ke ba’ad

Maujo’n ke darmiyaa’n haatho’n ka hunar kaam aaya
Main kinaarey laga patwaar ganvaane ke baad

Jis ne chheeni hai parindo’n ki sabhi aazadi
Taaliyaa’n peet’ta hai titli udaane ke ba’ad

Pyaar parvaan hi chadhta hai khule aangan mein
Bhai chara gaya deewar uthaane ke ba’ad

Read More Share

Hawa ban kar main teri syah zulfon ko chhu loon
Tere kaajal mein mil kar ghani palko’n ko chhu loon

Kisi yaqoot ke do taraashe lab hain tere
Main laali mein pighal kar tere hontho’n ko chhu loon

Tumhaara lams aisa ke patthar jaag jaaye
Hena ke saath ghis kar main in haatho’n ko chhu loon

Kayi gehre achhoote bhanwar tere badan mein
Main sahil ban ke tujh mein uthi maujo’n ko chhu loon

Tujhe neendo’n mein jis dam chaman aawaz de de
Main titli ban ke iss dam unhe’n khwabo’n ko chhu loon

Gulaabi ho rahi hai teri rangat se mehfil
Main ghaaze mein bikhar kar tere gaalo’n ko chhu loon

Sabak pairo’n se sehra ko tu sairaab kar de
Bikhar jaoo’n jo main bhi to un qadmo’n ko chhu loon

Tere hontho’n ke andar rakhe battees moti
Main ghul kar shahad mein jo sabhi daanto’n ko chhu loon

Rubaab-o-chang jaisi teri aawaz jaana’n
Teri sheereen zabaan ko teri baaton ko chhu loon

Kamaal-e-husn tu bhi kamaal-e-ishq mein bhi
Main tere maikade ki sabhi lehro’n ko chhu loon

Read More Share

Woh hamein aazmaa ke maanenge
Jaan apni ganva ke maanenge

Un ke haatho’n mein aaj sooraj hai
Saare jugnoo jala ke maanenge

Maanjhe ke dor ki patango’n se
Kachcha dhaaga ladaa ke maanenge

Husn ka jaal tan gaya hum bhi
Dil ka panchhi udaa ke maanenge

Dhoop ko bechne ko saudagar
Chaandni ko jala ke maanenge

Hum chaman ke haram mein kaliyo’n se
Sabz chilman hata ke maanenge

Un ke haatho’n mein aaj patthar hai
Khoon mera baha ke maanenge

Dhoondte hain badan mein jo khud ko
Khaak apni udaa ke maanenge

Mere jharne ko pee gaya dariya
Aaj qatrah pila ke maanenge

Hain jahaan khetiyaa’n baboolo’n ki
Hum wahaan phool ugaa ke maanenge

Hum hain aaine jaise hum unko
Asli chehra dikha ke maanenge

Read More Share

Pehloo-e-yaar mein aaya to jahaa’n bhool gaya
Hijr ki rait udi aah-o-fughaa’n bhool gaya

Shiddat-e-tashna labi se mujhe ehsaas huwa
Khud meri zaat mein dariya tha ravaan bhool gaya

Josh mein aa gaya maidan-e-amal mein lekin
Tegh-o-shamsher-o-sunaa teer-o-kamaal bhool gaya

Ya khuda meri ibaadat mein reyazat to na dhoond
Sajda main bhool gaya sood-o-zayaa’n bhool gaya

Tere mahlo’n ka khandar tujh ko pukaare hai kamaal
Aur tu azmat-e-rafta ka nishaa’n bhool gaya

Read More Share

Main jal chuka hoon raakh mein chingaariya’n na dhoond
Aansoo hain mere sachche adakaariya’n na dhoond

Apni haveliyo’n ke sisakte khandar ko dekh
Aye khwab aks-e-gul ki woh gulkaariya’n na dhoond

Mujh pe sitam hazaar sitamgar ko dhaane de
Meri anaa woh pehli si khuddariya’n na dhoond

Yaado’n ke canvas pe talaash na kar unhe’n
Aye dil tu mere vaaste dushwaariya’n na dhoond

Aata hai sh’er zehen mein le ke lahoo ka rang
Phir aye warq tu rango’n ki pichkariyaa’n na dhoond

Read More Share

Badan mein pyaas na jaane kahan kahan se uthi
Sharar ki shakl mein ye aatish-e-rawaan se uthi

Jo uss ne rait pe likha tha hijr ka ek lafz
To ban ke hashr yahi rait khaakdaa’n se uthi

Andhera phir naye sooraj se haar jayega
Lakeer-e-aks-e-zeya ki jo bakeeraa’n se uthi

Akela chalna safar hai magar yeh yaad rahe
Bagola ban gayi jo dhool kaarwa’n se uthi

Thakan ko odhey huwe so gaya musafir bhi
Abad ki neend zameen se na aasmaa’n se uthi

Read More Share

Teri palkon ki ghani shaam se darr lagta hai
Main thaka haara hoon aaraam se darr lagta hai

Surmayi shaam ke aanchal mein ujaaley kab tak
Champayi dhoop ke anjaam se darr lagta hai

Saanvli chaao’n tale din ye guzaaroo’n kaise
Ajnabi pedo’n ke ilzaam se darr lagta hai

Zindagi beet gayi ose ka peechha karte
Surkh honto’n ke bhare jaam se darr lagta hai

Read More Share

Rangeen ruto’n ki shaam ho tum
Naayab koyi in’aam ho tum

Lafzo’n mein tumharey lab ki sharaab
Bolo to chhalakta jaam ho tum

Sau roop badaltey dekha hai
Kashmir, Katak, Assam ho tum

Baahar se bhale patthar ka libaas
Andar se magar baadam ho tum

Aankhein hain tumhari teer andaaz
Un aankhon se hi badnaam ho tum

Chehra hai dhanak ki mauje’n liye
Rango’n ke jahaa’n ka dhaam ho tum

Jaadui milan ki bela mein
Aaghaz hoon main anjaam ho tum

Jagoo’n to judaai dasti hai
So jaoo’n to phir do gaam ho tum

Read More Share

Ab saanp ke hi jism se sandal lipat na jaaye
Iss rezgaar se kahin jungle lipat na jaaye

Aisi tadap hai pyaase mein dariya na chal pade
Aisi tadap hai honto’n se se chhagal lipat na jaaye

Kaajal laga ke aankho’n mein dekho na aaina
Dhoke mein tere aks se kaajal lipat na jaye

Iss dil ke rehguzar ki kaheen tezz dhoop se
Tere badan ki chhao’n ka aanchal lipat na jaye

Sotey mein jaagte mein mere saamne ho tum
Khud raftagi mein khud se ye pagal lipat na jaye

Read More Share

Main aage walo’n mein jazba jaga ke laut aaya
Jo sab se peechhe they aage badha ke laut aaya

Buland udna tha mujh ko to meri chaal to dekh
Anadiyo’n se patangein luta ke laut aaya

Udaan bhool na jaaye woh shaakh-e-gul pe kahin
Main pattharo’n se parindah udaa ke laut aaya

Tadap rahi thi meri jaa’n nikalne ko main bhi
Badan ki rait pe naqsha bana ke laut aaya

Kharaaj dena tha sooraj ki sar bulandi ko
Main apne aap ka saaya luta ke laut aaya

Mukhalifo’n ki muhabbat ne ye kamaal kiya
Main apne haatho’n se khanjar gira ke laut aaya

Read More Share

Kaun aaya hai wahi yaadei’n puraani le kar
Ek dooje se bichhadne ki kahaani le kar

Teri ulfat ke talabgaaro’n ko dariya na mila
Phir ye sehraao’n mein kaun aaya hai paani le kar

Swyambar mein sahi main jeet gaya hoon lekin
Main lakadhaara bata kya karoo’n raani le kar

Jab karishmo’n se hi manzil ka nishaa’n milta hai
Kya karoo’n meel ke patthar ki nishaani le kar

Aabshaaro’n ko samandar ne pukara hai Kamaal
Kya karoo’n bhala shabnam ki rawaani le kar

Read More Share

Mutthiyo’n se mujhe gira dena
Dhool hoon dhool par leta dena

Meri yaadein azaab de gayi tujhe
Dheere dheere mujhe ganva dena

Sab parindey the mausamo’n ke ghulaam
Muntazir pedo’n ko bata dena

Iss qabeele ki neend kachchi hai
Jaag jayenge sab jaga dena

Qatl se qabal mar na jayein kahin
Aankhon pe pattiya’n chadha dena

Jung me jeetna zaroori nahin
Ladna laazim hai ye bata dena

Read More Share

Jo bhi anjaam ho anjaam khuda ko maaloom
Kaun girta hai yahaan dast-e-qaza ko maaloom

Pattharo’n ne to jigar khoon kiya ghis ghis kar
Rang niklega ya paani ye hena ko maaloom

Shaakh-e-gul aandhi se anjaan kathak naachti hai
Kab badal jayegi niyat ye hawa ko maaloom

Main bahot zorr se chillaya hoon marte marte
Door tak jayegi kitni ye sada ko maaloom

Laal sailaab mein pehle hi zamee’n doobi hai
Aur kitna lahoo barsega ghata ko maaloom

Read More Share

Teri nigaah ka maara to mar gaya kab ka
Faseel-e-hijr se ho kar guzar gaya kab ka

Saraab-e-aks-e-sitamgar se chain kya milta
Sau tashna lab hi tera humsafar gaya kab ka 

Naseeb mein tha sau aandhi se bach gaya warna
Bulandiyo’n ka nasheman bikhar gaya kab ka

Ye sach hai tum bhi ho kashti jalaane walon mein
Tumhein khabar nahi dariya utar gaya kab ka

Na dhoondo Qais-o-Laila ki hum nasheeni ko
Idhar se haar ke woh to udhar gaya kab ka

Read More Share

Paar woh ho gaya dariya ko khabar hone tak
Main idhar rah gaya lehron ke bhanwar hone tak

Mere haatho’n mein bhi khanjar tha hunar tha sab tha
Kat gaya sar mera patthar ka jigar hone tak

Itna aasan to nahin boond ka moti banna
Seep ke seene ki hai qaid guhar hone tak

Wasl ke baad shab-e-hijr manaata hai kaun
Hum bikhar jayenge iss shab ki seher hone tak

Sar pe sooraj liye chhaao’n ki tamanna karte
Kaun jee paata hai sehra mein shajar hone tak

Read More Share

Ye main jo vahshat ke daayre mein thahar raha hoon
Teri samajh se pare main khud mein nikhar raha hoon

Mujhe bhi kozahgaro’n ne chaaha banayein phir se
Main sookhi mitti tha raqs karte bikhar raha hoon

Woh jis badan ki hazaaro’n maujein dubo rahi hain
Usi badan ke main sahilo’n par ubhar raha hoon

Mere tabassum ke sard khaane main gham pada tha
Kisey pata hai main kis alam se guzar raha hoon

Mohabbato’n ka ye beej kal ko shajar bhi hoga
Main teri aankhon ke aaine mein utar raha hoon

Read More Share

Safar mein sab akele hain pukara kar liya jaye
Gham-e-tanhaai ka kuchh to mudawa kar liya jaye

Suna hai noor ke paikar se ik din saamna hoga
Chalo ab dil ke butkhaane ko ka’aba kar liya jaye

Suna hai khwab kachchi neend mein poore nahi hote
So jeete ji marne ka tamaasha kar liya jaye

Suna hai raitka ghar tik nahin paata hawaon mein
Chalo ab jism ki mitti ko gaara kar liya jaye

Suna hai ke ujaaley bhi zaroori hain safar mein to
Bana ke dhoop ka sahil guzaara kar liya jaye

Suna hai raato’n mein dhoonde se bhi milta nahi sooraj
Chalo aansoo ke qatro’n ka sitara kar liya jaye

Suna hai kaan’ta chubhne se rago’n me daudta hai khoon
To behtar hai ke phoolo’n se kinaara kar liya jaye

Read More Share

Aansuo’n ke peechhe se muskurana padta hai
Gham hazaar ho’n dil mein gham chhupana padta hai
 

Saanso’n ki paheli mein dhadkane’n ulajhne de
Dor kab sulajhti hai toot jaana padta hai

Jab tere qabeele ka rehnuma na ho koyi
Bheed se rahbar ko dhoond laana padta hai

Jab tere qabeele ka rehnuma na ho koyi
Bheed se hi rahbar ko dhoond laana padta

Haath milte rahne se roshni nahin milti
Ladne ko andhero’n se ghar jalaana padta hai

Be-watan musafir ko gaon ne pukaara hai
Rishto’n ko nibhaane mein aana jaana padta hai

Toota aaina bhi to aks dhoond laata hai
Jango’n ko andheron mein jagmagana padta hai

Shama apne saaye se teergi lipatne de
Jab panaah le koyi ghar basana padta hai

Read More Share

Ab to ye kaam hai mitti ka tadapne lag jaye
Bojh badh jaaye to chup chap bikharne lag jaye

Apne khanjar ke kamalaat dikhaya bhi karo
Dekho khanjar mein kahin rang na milne lag jaye

Ashk palkon pe sajaaya karo shabnam ki tarah
Ye na ho aankhon ka baadal kahin phatne lag jaye

Tere chehre pe larazta huwa rang-e-shafaq
Jaise aanchal mein dhanak rang simatne lag jaye

Iss qadar shor ujaalon ka kiya hai tum ne
Ye parinda na bhari raat mein udney lag jaaye

Dhoop ko pehne huwe mera shajar sochta hai
Ye tamaazat hi na neendo’n ko thapakne lag jaye

In kinaro’n pe karishma hi bachayega tumhein
Lehron ka kya hai kahaan kab ye bahakne lag jaaye

Read More Share

Aye shehr-e-sitam main tera hun apno pe sitam kyun karte ho
Aye mulk-e-adam ke matwaalo’n lut jaane ka gham kyu karte ho

Kuchh meri anaa kuch teri anaa dono ke anaa ki thi majboori
Majboor sahi hum door sahi in aankho’n ko nam kyun karte ho

Iss dil mein khuda bhi moorat bhi dono ko main sajda kar baitha
Hai ku-e-sanam gar dair-o-haram inkaar-e-sanam kyun karte ho

Pechidah guzargaho’n ka safar manzil ka nisha’n gum kar baitha
Baaqi hai agar saanson ka bharam sauda-e-adam kyun karte ho

Panghat pe abhi tak aahat hai qadmo’n ki tere aye jaan-e-Kamaal
Ye hijr ki shab ke ranj-o-alam badh jaane do kam kyun karte ho

Read More Share

Jo apna hai nahin apna to keh nahi sakta
Guzarti chhao’n ko saaya to keh nahin sakta

Zaroori hai ke koyi shaakh ab chuni jaaye
Har ek shaakh ko dera to keh nahi sakta

Mohabbato’n ka taqaza hai dooriyaa’n bhi rahe
Kisi ko jism ka hissa to keh nahi sakta

Woh koh-e-noor hai moti ka wasf kya jaane
Main pattharo’n ko nageena to keh nahi sakta

Ye aur baat hai dariya ki shakal lekin
Bagair paani ke dariya to keh nahi sakta

Ye chaand taarey ye jugnu charaagh-e-shab hain magar
Ujaaley hain ye savera to keh nahi sakta

Read More Share

Sookhe pedo’n se lipat kar der tak roya na kar
Chhaao’n ke girte khandar ka iss qadar peechha na kar

Iss qafas ko tod de ya tod de zanjeer-e-hayaat
Aye qalandar justuju ka silsila toda na kar

Mere qaatil ke lahoo se laal kar mitti meri
Be-fizool aansoo gira ke rang ye pheeka na kar

Bheed ikatthi karne ko jao karo parcham buland
Muntashir hain log to kya hausla khoya na kar

In gunahgaaro’n mein hi chun lena koyi rehnuma
Nasl-e-aadam mein farishto’n ki sifat dhoonda na kar

Read More Share

Akela shakhs bhi chaahe to kaarwaan ho jaaye
Toh qaafila naya peechhe rawa’n dawa’n ho jaaye

Tum apne saath sawera liye phira karna
Kise pata hai ke andhera kab kahaan ho jaaye

Luta ke taaj  bhatakte huwe aye khaana’badosh
Zaroori hai ke tera phoos ka makaa’n ho jaaye

Ye haath paanv se chalna koyi hunar to nahi’n
Main chahta hoon ke ye bachcha ab jawaa’n ho jaaye

Ruka raha bhi to sooraj na sar pe hoga kamaal
Main chal pada hoon bhale shaam jab jahaan ho jaaye

Read More Share

Sachcha tha main magar mujhe jhoota likha gaya
Ujley libaas ko mere kaala likha gaya

Munsif ne mere qatl ko bhi khud kushi kaha
Mujh ko hi apne khoon ka pyasa likha gaya

Khaak-e-watan mein dafan they ajdaad sab mere
Panchhi ka ghar yahee’n tha paraya likha gaya

Dariya ke beech mujh ko duboya gaya tha phir
Dariya ke paar mujh ko utaara likha gaya

Sooraj sitarey sham’a kya jugnu bhi chheen kar
Taareekiyo’n ko ghar ke ujaaley likha gaya

Dharti ke aye khudaao’n tujhe ye  nahi’n khabar
Fir’oun jab bhi likha gaya Musa likha gaya

Read More Share

Dil ke soone aangan mein titliya’n udaa deeje
Thumriya’n suna deeje talkhiya’n bhala deeje

Ishq ka koyi saahil lautne nahi’n deta
Rasm hai puraani ye kashtiya’n jala deeje

Main parindah aawara hijrato’n mein rahta hoon
Aap iss Qalandar ko bediyaa’n laga deeje

Chaand jaise chehre par badalo’n ka pehra kyun
Baarisho’n ka mausam hai bijliya’n gira deeje

Husn ki jo daulat hai der tak nahi tikti
Ishq to gadagar hai kaudiyan luta deeje

Read More Share

Pedo’n ki har ik shaakh hilane pe tula hai
Paagal hai parindo’n ko udaane pe tula hai

Kho jaaye na ranjish mein kahin pyaar ki khushboo
Phoolo’n kmo bhi patthar se ladaane pe tula hai

Sookhi huwi mitti se nikalti nahin tasweer
Naadaa’n hai kyun chaak ghumane pe tula hai

Jaane bhi do rehne do sabhi rasm puraani
Tum haath milaane woh chhurane pe tula hai

Har baat pe rone ki teri zidd nahin achchhi
Bekaar tu aansoo ko rulaane pe tula hai

Read More Share

Usey bhi pyaas hai apni bujhaani dekhte jaao
Woh mera khoon peeta hai ya paani dekhte jaao

Mere haatho’n ke saare phool ab patthar na ho jaaye’n
Mukhalif kaym’p ki shola bayaani dekhte jaao

Himayat hai tujhe sooraj ki main bhi qatrah-e-zam zam
Aye sehra mere chashme ki rawaani dekhte jaao

Yahin ke they yahin ke hain yahin par khaatma hoga
Khudaayi kar do mitti ki nishaani dekhte jaao

Haveli ab bhi baaqi mere ajdaad ki yaaro’n
Meri taareekh hai barso’n puraani dekhte jaao

Read More Share

Mutmay’in hain jo ghaat na maare jaaye’n
Apne hi ghar mein paraaye na pukaare jaye’n

Ped ab apni tabaahi ka sabab dhoondta hai
Jo hain saaye mein woh sehra se guzaare jaaye’n

Zinda hone ka bhi dena padega sabko saboot
Jo na de paaye’n woh qabro’n mein utaarey jaaye’n

Woh jo iss jung mein haare hain ladaayi ke bagair
Taash ki baazi mein woh log na haare jaaye’n

Jo hain maujo’n ke talabgaar woh kashti mein rahein
Jo hain saahil ke talabgaar utaarey jaaye’n

Read More Share

Lashkar ke saamne kahin lashkar nikal na jaaye
Khanjar prast log hain khanjar nikal na jaaye

Pehra bitha rahe ho jo paani ki boond par
Hissa jo maang baithei’n samandar nikal na jaaye

Maana muraaqbe mein hain changeeziyat abhi
Baahar dhyaan se ye qalandar nikal na jaaye

Itna bhi tar nivaala nahin hoon sitamgaro’n
Dekho tere nivaale mein kankar nikal na jaaye

Apni hi rehnumaayi mein raste naye talaash
Saalar-e-qaafila hi sitamgar nikal na jaaye

Read More Share

Tu khush nahin hai chalo ghar alag alag kar lein
Hawa zameen ye ambar alag alag kar lein

Ladaayi khatm hui haar jeet kiski hui
Ye dekhna hai to chal sar alag alag kar lein

Jo daur khatm hua sath sath chalne ka
To aao meel ka patthar alag alag kar lein

Hai dosti ka taqaaza ke dusnmani ke liye
Jo sath aaya hai lashkar alag alag kar lein

Read More Share

Dhanak ke rang mein nikhra bahaar ka mausam
Qaraar le gaya saara qaraar ka mausam

Tadapte ashq ke moti palak sanvaar gaye
Ke khatm ho hi gaya intezaar ka mausam

Shab-e-visaal ne furqat ki tod di zanjeer
Hisaar-e-hijr se aaya faraar ka mausam

Hai surkh kaasa-e-lab raghbat-e-gunaah liye
Ke raqs-e-raftagi mein hai khumaar ka mausam

Aye abr zulf-e-sanam ki ghataye’n le ke baras
Dikha hame’n bhi zara kohsaar ka mausam

Thirakti dhadkane’n dil ko yun sangsar na kar
Ye bazm-e-vasl hai ya sangsar ka musam

Read More Share

Dhoke hi khaaye hain auro’n pe bharosa kar ke 
Kaante hi haath lage beej ko pauda kar ke

Jism se jhadti huwi rait uthaane waalo’n
Kya milega tumhe’n iss rait ka sauda kar ke

Maine sehra mein bhi shabnam se ta’alluq na rakha
Aur tum doob gaye koze ko dariya kar ke

Shola-e-ishq se jab khaak khaak munavvar ho to
Noor phir rahta nahin khaak se parda kar ke

Muntazir hoon main qayamat hi macha de saaqi 
Kyun darata hai hame’n roz tamasha kar ke

Read More Share

Phirte ho saraabo’n mein khwabeedah liye paikar
Kyun jaam bhare saaqi dil hi na raha muztar

Shola ho muqabil to raqs-e-sharar laazim
Qatro’n ko machalna hai qulzum ki adaa le kar

Tabrezi firistada jugnu ko tarasta hai
Aawaz do aa jaye sooraj ki zeya chal kar

Zam zam ke ubalney ko laazim hai junoo’n khezi
Paani ki talab hai to sehra ko laga thokar

Gardan bhale kat jaaye dastaar bachane mein
Haq waale to padhte hain takbeer tah-e-khanjar

Read More Share

Furqat e gham azaab ho jaye
Sab haqeeqat saraab ho jaaye

Ashk ko yun baha ke sehra bhi
Ganga jamna chenaab ho jaaye

Iss tarah se naqaab utha zaalim
Chaandni laajawab ho jaaye

Aa baboolo’n se hi bana lein chaman
Kaan’ta kaan’ta gulaab ho jaaye

Ishq mein aisi sajda rezi ho
Husn khud benaqaab ho jaaye

Tishnagi yun badha kamaal apni
Tishnagi khud sharaab ho jaaye

Read More Share

Kat raha ho sar agar tevar badalna chahiye
Tere bhi haatho’n mein ab khanjar machalna chahiye

Muddato’n ki pyaas hai labrez kar saaghar ko yun
May chhalakni chahiye saaghar phisalna chahiye

Dasht-e-dushman mein zaroori hai ke girgit ki tarah
Rang badalna chahiye paikar badalna chahiye

Dosto’n ki aasteen ka saanp zahreela ho gar
Aasteen se tere bhi ajgar nikalna chahiye

Ashko’n se patthar bhigo dena nahi hota Kamaal
Hai Kamaal-e-fann ke ye patthar pighalna chahiye

Read More Share

Tum kaanch ke ghar mein rahte ho patthar se muhabbat theek nahi
Aye kashti jalaane walo’n suno dariya se adaawat theek nahi

Maana ke aqeedat gehri hai yun sar na jhukaao sajde mein
Insaa’n hai khuda ban jaayega itni bhi aqeedat theek nahi

Mat dhoondo musaafir manzil ko manzil se bhi aage manzil hai
Jab shaam dhale ruk jaao wahin itni bhi musaafat theek nahi

Ye sach hai muhabbat karte ho itna to na aaya jaaya karo
Hai rasm-e-muhabbat doori bhi itni bhi ziyarat theek nahi

Jab dost hi dushman ban jaaye phir kaisi muhabbat kaisi wafa
Woh waar kare tum sar de do aisi bhi murawwat theek nahi

Read More Share