Aansuo’n ke peechhe se muskurana padta hai


Aansuo’n ke peechhe se muskurana padta hai
Gham hazaar ho’n dil mein gham chhupana padta hai
 

Saanso’n ki paheli mein dhadkane’n ulajhne de
Dor kab sulajhti hai toot jaana padta hai

Jab tere qabeele ka rehnuma na ho koyi
Bheed se rahbar ko dhoond laana padta hai

Jab tere qabeele ka rehnuma na ho koyi
Bheed se hi rahbar ko dhoond laana padta

Haath milte rahne se roshni nahin milti
Ladne ko andhero’n se ghar jalaana padta hai

Be-watan musafir ko gaon ne pukaara hai
Rishto’n ko nibhaane mein aana jaana padta hai

Toota aaina bhi to aks dhoond laata hai
Jango’n ko andheron mein jagmagana padta hai

Shama apne saaye se teergi lipatne de
Jab panaah le koyi ghar basana padta hai


Share :