Apno pe sitam kyun karte ho


Aye shehr-e-sitam main tera hun apno pe sitam kyun karte ho
Aye mulk-e-adam ke matwaalo’n lut jaane ka gham kyu karte ho

Kuchh meri anaa kuch teri anaa dono ke anaa ki thi majboori
Majboor sahi hum door sahi in aankho’n ko nam kyun karte ho

Iss dil mein khuda bhi moorat bhi dono ko main sajda kar baitha
Hai ku-e-sanam gar dair-o-haram inkaar-e-sanam kyun karte ho

Pechidah guzargaho’n ka safar manzil ka nisha’n gum kar baitha
Baaqi hai agar saanson ka bharam sauda-e-adam kyun karte ho

Panghat pe abhi tak aahat hai qadmo’n ki tere aye jaan-e-Kamaal
Ye hijr ki shab ke ranj-o-alam badh jaane do kam kyun karte ho


Share :