Aur Main


Ye chandni ye chaman zaaron ki agan aur main
Ye rang-o-bu ye tere lams ki chubhan aur main

Ghazaal aankhon se dil par chhuri barasti hui
Shikast khata hua rann me ek hiran aur main

Thakan utaarti ye saanvle badan ki hadein
Gudaaz jism ki ye makhmali shikan aur main

Thirakti nartaki ye raushni ye rang mahal
Uthaan saaz ki saazando’n ki thakan aur main

Peher ye shab ki ye pehra tumhari zulfon ka 
Ghata ghumadti hui bheegta gagan aur main

Main dhool dhool bikharta hua banaam-e-yaar
Woh phool phool sa khilta hua badan aur main


Share :