Badan mein pyaas


Badan mein pyaas na jaane kahan kahan se uthi
Sharar ki shakl mein ye aatish-e-rawaan se uthi

Jo uss ne rait pe likha tha hijr ka ek lafz
To ban ke hashr yahi rait khaakdaa’n se uthi

Andhera phir naye sooraj se haar jayega
Lakeer-e-aks-e-zeya ki jo bakeeraa’n se uthi

Akela chalna safar hai magar yeh yaad rahe
Bagola ban gayi jo dhool kaarwa’n se uthi

Thakan ko odhey huwe so gaya musafir bhi
Abad ki neend zameen se na aasmaa’n se uthi


Share :