Dhanak ke rang mein nikhra bahaar ka mausam
Qaraar le gaya saara qaraar ka mausam
Tadapte ashq ke moti palak sanvaar gaye
Ke khatm ho hi gaya intezaar ka mausam
Shab-e-visaal ne furqat ki tod di zanjeer
Hisaar-e-hijr se aaya faraar ka mausam
Hai surkh kaasa-e-lab raghbat-e-gunaah liye
Ke raqs-e-raftagi mein hai khumaar ka mausam
Aye abr zulf-e-sanam ki ghataye’n le ke baras
Dikha hame’n bhi zara kohsaar ka mausam
Thirakti dhadkane’n dil ko yun sangsar na kar
Ye bazm-e-vasl hai ya sangsar ka musam