Bhool gaya


Pehloo-e-yaar mein aaya to jahaa’n bhool gaya
Hijr ki rait udi aah-o-fughaa’n bhool gaya

Shiddat-e-tashna labi se mujhe ehsaas huwa
Khud meri zaat mein dariya tha ravaan bhool gaya

Josh mein aa gaya maidan-e-amal mein lekin
Tegh-o-shamsher-o-sunaa teer-o-kamaal bhool gaya

Ya khuda meri ibaadat mein reyazat to na dhoond
Sajda main bhool gaya sood-o-zayaa’n bhool gaya

Tere mahlo’n ka khandar tujh ko pukaare hai kamaal
Aur tu azmat-e-rafta ka nishaa’n bhool gaya


Share :