Dhoke hi khaaye hain auro’n pe bharosa kar ke
Kaante hi haath lage beej ko pauda kar ke
Jism se jhadti huwi rait uthaane waalo’n
Kya milega tumhe’n iss rait ka sauda kar ke
Maine sehra mein bhi shabnam se ta’alluq na rakha
Aur tum doob gaye koze ko dariya kar ke
Shola-e-ishq se jab khaak khaak munavvar ho to
Noor phir rahta nahin khaak se parda kar ke
Muntazir hoon main qayamat hi macha de saaqi
Kyun darata hai hame’n roz tamasha kar ke