Uljhi hui rassi ka sira dhoond raha hai
Kya jaane woh apni hi khata dhoond raha hai
Shaakho’n se gire patton ki taqdeer thi achchhi
Ik bhookha hiran patta hara dhoond raha hai
Ik tu hai ke nikla bhi nahi ghar se abhi tak
Ik woh hai tujhe chaaro’n disha dhoond raha hai
Tum jis ke bharose pe yahan aaye ho ladne
Talvar se pehle woh zirah dhoond raha hai
Iss shab ke muqaddar mein tu rahne de syahi
Jugnu kyun ujaalon ki qaba dhoond raha hai
Badal ke badalte hue tevar se ye darpok
Saaya mera ab ped ghana dhoond raha hai
Jab dil ke andar hi na ho ehsaas-e-khudaai
Naadaa’n hai jo patthar me khuda dhoond raha hai
Phoolo’n se ulajhne ke liye kab se ye kaanta
Patjhad ki koyi mauj-e-hawa dhoond raha hai