Jo apna hai nahin apna to keh nahi sakta


Jo apna hai nahin apna to keh nahi sakta
Guzarti chhao’n ko saaya to keh nahin sakta

Zaroori hai ke koyi shaakh ab chuni jaaye
Har ek shaakh ko dera to keh nahi sakta

Mohabbato’n ka taqaza hai dooriyaa’n bhi rahe
Kisi ko jism ka hissa to keh nahi sakta

Woh koh-e-noor hai moti ka wasf kya jaane
Main pattharo’n ko nageena to keh nahi sakta

Ye aur baat hai dariya ki shakal lekin
Bagair paani ke dariya to keh nahi sakta

Ye chaand taarey ye jugnu charaagh-e-shab hain magar
Ujaaley hain ye savera to keh nahi sakta


Share :