Jo bhi anjaam ho anjaam khuda ko maaloom


Jo bhi anjaam ho anjaam khuda ko maaloom
Kaun girta hai yahaan dast-e-qaza ko maaloom

Pattharo’n ne to jigar khoon kiya ghis ghis kar
Rang niklega ya paani ye hena ko maaloom

Shaakh-e-gul aandhi se anjaan kathak naachti hai
Kab badal jayegi niyat ye hawa ko maaloom

Main bahot zorr se chillaya hoon marte marte
Door tak jayegi kitni ye sada ko maaloom

Laal sailaab mein pehle hi zamee’n doobi hai
Aur kitna lahoo barsega ghata ko maaloom


Share :