Kat raha ho sar agar tevar badalna chahiye
Tere bhi haatho’n mein ab khanjar machalna chahiye
Muddato’n ki pyaas hai labrez kar saaghar ko yun
May chhalakni chahiye saaghar phisalna chahiye
Dasht-e-dushman mein zaroori hai ke girgit ki tarah
Rang badalna chahiye paikar badalna chahiye
Dosto’n ki aasteen ka saanp zahreela ho gar
Aasteen se tere bhi ajgar nikalna chahiye
Ashko’n se patthar bhigo dena nahi hota Kamaal
Hai Kamaal-e-fann ke ye patthar pighalna chahiye