Lashkar ke saamne kahin lashkar nikal na jaaye
Khanjar prast log hain khanjar nikal na jaaye
Pehra bitha rahe ho jo paani ki boond par
Hissa jo maang baithei’n samandar nikal na jaaye
Maana muraaqbe mein hain changeeziyat abhi
Baahar dhyaan se ye qalandar nikal na jaaye
Itna bhi tar nivaala nahin hoon sitamgaro’n
Dekho tere nivaale mein kankar nikal na jaaye
Apni hi rehnumaayi mein raste naye talaash
Saalar-e-qaafila hi sitamgar nikal na jaaye