Main aage walo’n mein jazba jaga ke laut aaya
Jo sab se peechhe they aage badha ke laut aaya
Buland udna tha mujh ko to meri chaal to dekh
Anadiyo’n se patangein luta ke laut aaya
Udaan bhool na jaaye woh shaakh-e-gul pe kahin
Main pattharo’n se parindah udaa ke laut aaya
Tadap rahi thi meri jaa’n nikalne ko main bhi
Badan ki rait pe naqsha bana ke laut aaya
Kharaaj dena tha sooraj ki sar bulandi ko
Main apne aap ka saaya luta ke laut aaya
Mukhalifo’n ki muhabbat ne ye kamaal kiya
Main apne haatho’n se khanjar gira ke laut aaya