Meri aarzoo ka charaagh ab na jalega tere dayaar mein
Meri dhadkane teri qaid mein meri sansein tere hesaar mein
Jo nihaa’n qaza mein qaraar ho to kyun aarzoo-e-qarar ho
Aye tadap talab meri tishnagi tujhe kya milega qaraar mein
Kayi karwa’n jo chale gaye mujhe do khabar wo gaye kahan
Ke junoo-e-shauq-e-safar liye kayi karwa’n hain qataar mein
Na baras ghatayein simat bhi jaa mere chaand poore se ghat bhi jaa
Main khizaa’n raseedah bahaar hoon tujhe kya milega bahaar mein
Meri jaa’n kani ke aye marhale zara intezar-e-sanam to kar
Meri jaa’n tu sadqa-e-yaar hai to nikal bhi kocha-e-yaar mein