Nami Danam

نمی دنم


Simat’ti chandni hai ya saraapa hai nami danam
Nami danam mera mehboob kya kya hai nami danam

Tumhari jheel si aankhon ke tat par ye jhuki palkein
Bhanwar hai chhaa’on hai koi shikara hai nami danam

Tere chehre ke sahil par dhanak ki mauj sar patke
Na jaane kaun si rangat mein jalwa hai nami danam

Teri zulfon ke saaye mein ye badal parvarish paaye
Nami danam ye badal kab tak barasta hai nami danam

Sharaabi sheesha gar saaqi-o-butgar sab ikatthe hain
Yahan iss maiqade me kaun pyasa hai nami danam

Prastish kiski hai ye hum baroz-e-hashr dekhenge
Ye dil masjid ya butkhana kaleesa hai nami danam

Woh harjaayi main saudayi dil-o-jaan se fida gashtam
Khuda jaane Kamaal-e-wajad hai kya hai nami danam
 


Share :