Paar woh ho gaya dariya ko khabar hone tak


Paar woh ho gaya dariya ko khabar hone tak
Main idhar rah gaya lehron ke bhanwar hone tak

Mere haatho’n mein bhi khanjar tha hunar tha sab tha
Kat gaya sar mera patthar ka jigar hone tak

Itna aasan to nahin boond ka moti banna
Seep ke seene ki hai qaid guhar hone tak

Wasl ke baad shab-e-hijr manaata hai kaun
Hum bikhar jayenge iss shab ki seher hone tak

Sar pe sooraj liye chhaao’n ki tamanna karte
Kaun jee paata hai sehra mein shajar hone tak


Share :