Parindey


Main udaa raha hoon jaana’n teri yaado’n ke parindey
Tujhe haal-e-dil sunayenge sadaao’n ke parindey

Meri saf ke sabz patte kahin kar na dein baghawat
Kahin ud na jayein saare meri shaakho’n ke parindey

Mera jism muztarib hai wahi lams dhoondta hai
Kahin pyaase mar na jayein mere hontho’n ke parindey

Tere hijr ke katore mein sharaab-e-wasl bhar doon
Toh khushi mein ud na jayein tere haatho’n ke parindey

Mere patjhado’n ke panchhi meri pyaasi faakhtayei’n
Teri raah tak rahe hain meri aankhon ke parindey

Tere meethe paaniyo’n ki wahi jheel phir se dhundoo’n
Tere husn ke bhanwar ke woh adaao’n ke parindey

Kahin shaakh phir na toote kahin phool phir na bikhrey
Na bula le phir se aandhi ko hawaao’n ke parindey


Share :