Tum kaanch ke ghar mein rahte ho patthar se muhabbat theek nahi
Aye kashti jalaane walo’n suno dariya se adaawat theek nahi
Maana ke aqeedat gehri hai yun sar na jhukaao sajde mein
Insaa’n hai khuda ban jaayega itni bhi aqeedat theek nahi
Mat dhoondo musaafir manzil ko manzil se bhi aage manzil hai
Jab shaam dhale ruk jaao wahin itni bhi musaafat theek nahi
Ye sach hai muhabbat karte ho itna to na aaya jaaya karo
Hai rasm-e-muhabbat doori bhi itni bhi ziyarat theek nahi
Jab dost hi dushman ban jaaye phir kaisi muhabbat kaisi wafa
Woh waar kare tum sar de do aisi bhi murawwat theek nahi