Qissa na hum se poochh


Apno’n ko aazmaane ka qissa na hum se poochh
Dushman se haar jaane ka qissa na hum se poochh

Mitti ki thi pukaar hum hijrat na kar sakey
Iss qarz ko chukaane ka qissa na hum se poochh

Tha aab’shaar apna wahin pattharo’n mein qaid
Patthar se sar ladaane ka qissa na hum se pooch

Apni nahin thi bhool suraabo’n ka khel tha
Sehra mein tair jaane ka qissa na hum se poochh

Khana badosh ban ke phire hum yahan wahan
Apna hi ghar giraane ka qissa na hum se poochh

Zarro’n ko jab hawaao’n ne de di bulandiyaa’n
Apni bhi khaak udaane ka qissa na hum se poochh

Kyun darr gaye they kaise ye talvaar gir gayi
Haatho’n ke thartharaane ka qissa na hum se poochh


Share :