Rangeen ruto’n ki shaam ho tum


Rangeen ruto’n ki shaam ho tum
Naayab koyi in’aam ho tum

Lafzo’n mein tumharey lab ki sharaab
Bolo to chhalakta jaam ho tum

Sau roop badaltey dekha hai
Kashmir, Katak, Assam ho tum

Baahar se bhale patthar ka libaas
Andar se magar baadam ho tum

Aankhein hain tumhari teer andaaz
Un aankhon se hi badnaam ho tum

Chehra hai dhanak ki mauje’n liye
Rango’n ke jahaa’n ka dhaam ho tum

Jaadui milan ki bela mein
Aaghaz hoon main anjaam ho tum

Jagoo’n to judaai dasti hai
So jaoo’n to phir do gaam ho tum


Share :