Safar mein sab akele hain


Safar mein sab akele hain pukara kar liya jaye
Gham-e-tanhaai ka kuchh to mudawa kar liya jaye

Suna hai noor ke paikar se ik din saamna hoga
Chalo ab dil ke butkhaane ko ka’aba kar liya jaye

Suna hai khwab kachchi neend mein poore nahi hote
So jeete ji marne ka tamaasha kar liya jaye

Suna hai raitka ghar tik nahin paata hawaon mein
Chalo ab jism ki mitti ko gaara kar liya jaye

Suna hai ke ujaaley bhi zaroori hain safar mein to
Bana ke dhoop ka sahil guzaara kar liya jaye

Suna hai raato’n mein dhoonde se bhi milta nahi sooraj
Chalo aansoo ke qatro’n ka sitara kar liya jaye

Suna hai kaan’ta chubhne se rago’n me daudta hai khoon
To behtar hai ke phoolo’n se kinaara kar liya jaye


Share :