Saraapa kamaal ka


Be-parda be-hijaab saraapa kamaal ka
Kis ne tumhara husn tarasha kamaal ka

Palko’n ki paalki teri neendein meri jagaaye
Ye saanvli saraaye ye dera kamaal ka

Dil ki patang kaat gayein sarphiri latein
Jaanaa’n tumharey baalo’n ka maanjha kamaal ka

Iss chandni ki jheel mein aye doodhiya sadaf
Moti lutaa’te husn ka jalwa kamaal ka

Mitti mein mil na jaye qalandar ka ratjaga
Tujh marmarein khayal ka nashsha kamaal ka


Share :