Sitam dhaayein


Shab-e-visaal ki betaabiyaa’n sitam dhaayein
Sitamgaraa’n teri rangeeniyaa’n sitam dhaayein

Tumhare hontho’n ka panghat sharaab se labraiz
Labo’n ke jaam ki gehraaiyaa’n sitam dhaayein

Gulo’n ki sej hai jaanaa’n tere badan ki saraaye
Tumhaarey qurb ki madhoshiyaa’n sitam dhaayein

Tumhaarey baalo’n mein saavan ki chhaao’n basti hai
Tumhaarey palko’n ki parchhaiya’n sitam dhaayein

Tumhaarey naaf ki kastoori kar na dein madhosh
Tumhaarey asar ki parwaaiya’n sitam dhaayein

Safeena saanso’n ka sandal ke paaniyo’n pe chaley
Machalti dhadkano’n ki thumriyaa’n sitam dhaayein

Badaltey jalwe hain jaise ho qaafiya bandi
Radeef-e-husn athkeliyaa’n sitam dhaayein

Nigaah-e-yaar mein har dum khumaar palta hai
Aur uss ke baad ki angdaaiyaa’n sitam dhaayein

Mere wajood se lipta hua wajood tera
Aur uss ke baad ki pabandiyaa’n sitam dhaayein


Share :