Sookhe pedo’n se lipat kar der tak roya na kar
Chhaao’n ke girte khandar ka iss qadar peechha na kar
Iss qafas ko tod de ya tod de zanjeer-e-hayaat
Aye qalandar justuju ka silsila toda na kar
Mere qaatil ke lahoo se laal kar mitti meri
Be-fizool aansoo gira ke rang ye pheeka na kar
Bheed ikatthi karne ko jao karo parcham buland
Muntashir hain log to kya hausla khoya na kar
In gunahgaaro’n mein hi chun lena koyi rehnuma
Nasl-e-aadam mein farishto’n ki sifat dhoonda na kar