Tadapne lag jaye


Ab to ye kaam hai mitti ka tadapne lag jaye
Bojh badh jaaye to chup chap bikharne lag jaye

Apne khanjar ke kamalaat dikhaya bhi karo
Dekho khanjar mein kahin rang na milne lag jaye

Ashk palkon pe sajaaya karo shabnam ki tarah
Ye na ho aankhon ka baadal kahin phatne lag jaye

Tere chehre pe larazta huwa rang-e-shafaq
Jaise aanchal mein dhanak rang simatne lag jaye

Iss qadar shor ujaalon ka kiya hai tum ne
Ye parinda na bhari raat mein udney lag jaaye

Dhoop ko pehne huwe mera shajar sochta hai
Ye tamaazat hi na neendo’n ko thapakne lag jaye

In kinaro’n pe karishma hi bachayega tumhein
Lehron ka kya hai kahaan kab ye bahakne lag jaaye


Share :