Teri nigaah ka maara to mar gaya kab ka
Faseel-e-hijr se ho kar guzar gaya kab ka
Saraab-e-aks-e-sitamgar se chain kya milta
Sau tashna lab hi tera humsafar gaya kab ka
Naseeb mein tha sau aandhi se bach gaya warna
Bulandiyo’n ka nasheman bikhar gaya kab ka
Ye sach hai tum bhi ho kashti jalaane walon mein
Tumhein khabar nahi dariya utar gaya kab ka
Na dhoondo Qais-o-Laila ki hum nasheeni ko
Idhar se haar ke woh to udhar gaya kab ka