Teri syah zulfon ko chhu loon


Hawa ban kar main teri syah zulfon ko chhu loon
Tere kaajal mein mil kar ghani palko’n ko chhu loon

Kisi yaqoot ke do taraashe lab hain tere
Main laali mein pighal kar tere hontho’n ko chhu loon

Tumhaara lams aisa ke patthar jaag jaaye
Hena ke saath ghis kar main in haatho’n ko chhu loon

Kayi gehre achhoote bhanwar tere badan mein
Main sahil ban ke tujh mein uthi maujo’n ko chhu loon

Tujhe neendo’n mein jis dam chaman aawaz de de
Main titli ban ke iss dam unhe’n khwabo’n ko chhu loon

Gulaabi ho rahi hai teri rangat se mehfil
Main ghaaze mein bikhar kar tere gaalo’n ko chhu loon

Sabak pairo’n se sehra ko tu sairaab kar de
Bikhar jaoo’n jo main bhi to un qadmo’n ko chhu loon

Tere hontho’n ke andar rakhe battees moti
Main ghul kar shahad mein jo sabhi daanto’n ko chhu loon

Rubaab-o-chang jaisi teri aawaz jaana’n
Teri sheereen zabaan ko teri baaton ko chhu loon

Kamaal-e-husn tu bhi kamaal-e-ishq mein bhi
Main tere maikade ki sabhi lehro’n ko chhu loon


Share :