Ye main jo vahshat ke daayre mein thahar raha hoon
Teri samajh se pare main khud mein nikhar raha hoon
Mujhe bhi kozahgaro’n ne chaaha banayein phir se
Main sookhi mitti tha raqs karte bikhar raha hoon
Woh jis badan ki hazaaro’n maujein dubo rahi hain
Usi badan ke main sahilo’n par ubhar raha hoon
Mere tabassum ke sard khaane main gham pada tha
Kisey pata hai main kis alam se guzar raha hoon
Mohabbato’n ka ye beej kal ko shajar bhi hoga
Main teri aankhon ke aaine mein utar raha hoon